chamak mein barq nahin zau mein aaftab nahin
chamak meñ barq nahīñ zau meñ āftāb nahīñ
vo aa.ina hai tirā jis meñ ḳhāk-e-āb nahīñ
subū-o-jām haiñ ḳhālī aur iztirāb nahīñ
tirī nazar to hai saaqī agar sharāb nahīñ
jahān-e-ishq meñ is se baḌā azaab nahīñ
ki laakh jalve haiñ aur dekhne kī taab nahīñ
haqīqat-e-saqar-o-ḳhuld kyoñ samajh na sakūñ
janāb-e-shaiḳh maiñ mast-e-mai-e-savāb nahīñ
ġhalat ki shaġhl meñ mai-ḳhvār kam hai suufī se
ye shaġhl-e-jām magar shaġhl-e-āftāb nahīñ
ḳhudā ko sauñp na duuñ kyoñ sahīfa-e-armāñ
duā-e-vaqt-e-sahar bhī to kāmyāb nahīñ
rumūz-e-ishq se vāqif ho kis tarah vaa.iz
ye vo kitāb hai jo dāḳhil-e-nisāb nahīñ
tire karam kā bharosa hai dāvar-e-mahshar
yahāñ to pursish-e-āmāl kā javāb nahīñ
hazār parda-e-armāñ haiñ dil ke shīshe par
nahīñ nahīñ tirī tasvīr be-naqāb nahīñ
nashāt-ḳhāna-e-ālam meñ umr yuuñ guzrī
kabhī sharāb nahīñ aur kabhī kabāb nahīñ
niyāz-mand jo pahuñche to kis tarah pahuñche
harīm-e-nāz meñ naala bhī bāryāb nahīñ
haram ko jaa.eñ to kyā jaa.eñ hazrat-e-'shāġhil'
vahāñ rabāb nahīñ shāhid-o-sharāb nahīñ
chamak mein barq nahin zau mein aaftab nahin
wo aaina hai tera jis mein KHak-e-ab nahin
subu-o-jam hain KHali aur iztirab nahin
teri nazar to hai saqi agar sharab nahin
jahan-e-ishq mein is se baDa azab nahin
ki lakh jalwe hain aur dekhne ki tab nahin
haqiqat-e-saqar-o-KHuld kyon samajh na sakun
janab-e-shaiKH main mast-e-mai-e-sawab nahin
ghalat ki shaghl mein mai-KHwar kam hai sufi se
ye shaghl-e-jam magar shaghl-e-aftab nahin
KHuda ko saunp na dun kyon sahifa-e-arman
dua-e-waqt-e-sahar bhi to kaamyab nahin
rumuz-e-ishq se waqif ho kis tarah waiz
ye wo kitab hai jo daKHil-e-nisab nahin
tere karam ka bharosa hai dawar-e-mahshar
yahan to pursish-e-amal ka jawab nahin
hazar parda-e-arman hain dil ke shishe par
nahin nahin teri taswir be-naqab nahin
nashat-KHana-e-alam mein umr yun guzri
kabhi sharab nahin aur kabhi kabab nahin
niyaz-mand jo pahunche to kis tarah pahunche
harim-e-naz mein nala bhi baryab nahin
haram ko jaen to kya jaen hazrat-e-'shaghil'
wahan rabab nahin shahid-o-sharab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.