chamak yunhi nahin lafzon mein aai
chamak yūñhī nahīñ lafzoñ meñ aa.ī
kiyā hai ḳhūn-e-dil ko raushnā.ī
mire chehre se chipkī thī udāsī
hañsī māyūs ho kar lauT aa.ī
tamannāoñ ne kī sahrā-navardī
junūñ ne shahr meñ hī ḳhaak uḌaa.ī
maiñ dil kī baat sunñe kā huuñ aadī
mubārak tum ko patthar kī ḳhudā.ī
kitābeñ 'ishq kī gum ho ga.ī haiñ
adhūrī rah ga.ī merī paḌhā.ī
ujālā bhar gayā kamre meñ mere
tirī tasvīr kī hai rū-numā.ī
tamāzat merā māthā chūmtī hai
maiñ jab kartā huuñ sūraj kī burā.ī
nahīñ ḳhvāhish parinda shāḳh-e-dil par
to is ke TuuT jaane meñ bhalā.ī
ḳharīdegā 'musavvir' kaun tum ko
agar qīmat nahīñ apnī baḌhā.ī
chamak yunhi nahin lafzon mein aai
kiya hai KHun-e-dil ko raushnai
mere chehre se chipki thi udasi
hansi mayus ho kar lauT aai
tamannaon ne ki sahra-nawardi
junun ne shahr mein hi KHak uDai
main dil ki baat sunne ka hun aadi
mubarak tum ko patthar ki KHudai
kitaben 'ishq ki gum ho gai hain
adhuri rah gai meri paDhai
ujala bhar gaya kamre mein mere
teri taswir ki hai ru-numai
tamazat mera matha chumti hai
main jab karta hun suraj ki burai
nahin KHwahish parinda shaKH-e-dil par
to is ke TuT jaane mein bhalai
KHaridega 'musawwir' kaun tum ko
agar qimat nahin apni baDhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.