chamakne laga hai tera gham bahut
chamakne lagā hai tirā ġham bahut
diye ho chale ab to maddham bahut
ghaTāoñ meñ tūfāñ ke āsār haiñ
tirī zulf hai aaj barham bahut
yahāñ lahlahā.e haiñ ashkoñ meñ baaġh
na itrā.e phūloñ pe shabnam bahut
ye vo daur hai jis kā darmāñ nahīñ
ye vo raaz hai jis ke mahram bahut
ye dāmān-e-vahshat kī kuchh dhajjiyāñ
banā.eñge log in se parcham bahut
gadā-e-mohabbat kī ḳhuddāriyāñ
mile raah meñ ḳhusrav-o-jam bahut
sulagtī rahī raat bhar chāñdnī
shab-e-hijr thī raushnī kam bahut
na jā.egī dil se kabhī aarzū
ye buniyād hai āh-e-mohkam bahut
chamakne laga hai tera gham bahut
diye ho chale ab to maddham bahut
ghaTaon mein tufan ke aasar hain
teri zulf hai aaj barham bahut
yahan lahlahae hain ashkon mein bagh
na itrae phulon pe shabnam bahut
ye wo daur hai jis ka darman nahin
ye wo raaz hai jis ke mahram bahut
ye daman-e-wahshat ki kuchh dhajjiyan
banaenge log in se parcham bahut
gada-e-mohabbat ki KHuddariyan
mile rah mein KHusraw-o-jam bahut
sulagti rahi raat bhar chandni
shab-e-hijr thi raushni kam bahut
na jaegi dil se kabhi aarzu
ye buniyaad hai aah-e-mohkam bahut
- Book : NUQOOSH (Pg. 185)
- Author : Mohammad Tufail
- Publication : Idarah Forogh-e-urdu, Lahore (Vol. 61,62Edition Jun/ Feb 1957)
- Edition : Vol. 61,62Edition Jun/ Feb 1957
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.