chamakta tha bahut aflak mein dil
chamaktā thā bahut aflāk meñ dil
so āḳhir mil gayā hai ḳhaak meñ dil
bahut maġhrūr thā āzādgī par
bañdhā hai husn ke fitrāk meñ dil
tumhārī justujū meñ gum huā hai
taḌaptā thā hamārī ḳhaak meñ dil
chamaktā hai hamārī ruuh meñ kyā
sitāra hai ki hai aflāk meñ dil
kisī ke husn par māmūr āñkheñ
biThāyā hai kisī kī taak meñ dil
kareñge ham bhī apnī aag raushan
dabāyā hai badan kī raakh meñ dil
chamakta tha bahut aflak mein dil
so aaKHir mil gaya hai KHak mein dil
bahut maghrur tha aazadgi par
bandha hai husn ke fitrak mein dil
tumhaari justuju mein gum hua hai
taDapta tha hamari KHak mein dil
chamakta hai hamari ruh mein kya
sitara hai ki hai aflak mein dil
kisi ke husn par mamur aankhen
biThaya hai kisi ki tak mein dil
karenge hum bhi apni aag raushan
dabaya hai badan ki rakh mein dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.