chamakte chand khilte phul ke jaise lage mujhko
chamakte chāñd khilte phuul ke jaise lage mujh ko
tumhāre saath guzre din bahut achchhe lage mujh ko
agarche kuchh hī din the vo magar vo din qayāmat the
vahī kuchh din bahut betāb ab karne lage mujh ko
tumhārā saath thā jab tak to ġham bhī duur rahte the
hue tum duur jab mujh se to ġham milne lage mujh ko
kuchh aisā ġham huā zāhir mire chehre se furqat kā
kitāboñ kī tarah ye log ab paḌhne lage mujh ko
mohabbat karne vaale the tumhāre shahr vaale sab
tumhārī huuñ tumhāre baad bhī kahne lage mujh ko
yahī din the ki jo mujh ko kabhī the jaan se pyāre
yahī din ab bahut hī 'shāziya' khalne lage mujh ko
chamakte chand khilte phul ke jaise lage mujh ko
tumhaare sath guzre din bahut achchhe lage mujh ko
agarche kuchh hi din the wo magar wo din qayamat the
wahi kuchh din bahut betab ab karne lage mujh ko
tumhaara sath tha jab tak to gham bhi dur rahte the
hue tum dur jab mujh se to gham milne lage mujh ko
kuchh aisa gham hua zahir mere chehre se furqat ka
kitabon ki tarah ye log ab paDhne lage mujh ko
mohabbat karne wale the tumhaare shahr wale sab
tumhaari hun tumhaare baad bhi kahne lage mujh ko
yahi din the ki jo mujh ko kabhi the jaan se pyare
yahi din ab bahut hi 'shaziya' khalne lage mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.