chamakte suraj uchhaalte the kahan gae wo
chamakte sūraj uchhālte the kahāñ ga.e vo
jo shāmeñ sub.hoñ meñ Dhālte the kahāñ ga.e vo
badan meñ larzish ki din Dhalā jā rahā hai phir se
jo din se gardish nikālte the kahāñ ga.e vo
abhī to hāthoñ meñ hiddateñ un ke haath kī haiñ
abhī to ham ko sambhālte the kahāñ ga.e vo
utārte the ġhubār-e-lail-o-nihār ruḳh se
aur ā.inoñ ko ujālte the kahāñ ga.e vo
vo shāḳhche chhū ke sabz karne ke fan se vāqif
jo phuul hāthoñ meñ pālte the kahāñ ga.e vo
jo ism paḌhte the raushnī kā siyah-shaboñ meñ
jo lau charāġhoñ meñ Dālte the kahāñ ga.e vo
chamakte suraj uchhaalte the kahan gae wo
jo shamen subhon mein Dhaalte the kahan gae wo
badan mein larzish ki din Dhala ja raha hai phir se
jo din se gardish nikalte the kahan gae wo
abhi to hathon mein hiddaten un ke hath ki hain
abhi to hum ko sambhaalte the kahan gae wo
utarte the ghubar-e-lail-o-nihaar ruKH se
aur aainon ko ujalte the kahan gae wo
wo shaKHche chhu ke sabz karne ke fan se waqif
jo phul hathon mein palte the kahan gae wo
jo ism paDhte the raushni ka siyah-shabon mein
jo lau charaghon mein Dalte the kahan gae wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.