Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamakte taron pe tera hi nam likhte hain

Sahir Lakhnavi

chamakte taron pe tera hi nam likhte hain

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    chamakte tāroñ pe terā naam likhte haiñ

    sunahre lafzoñ meñ tujh ko payām likhte haiñ

    tire dayār pe jab ruk ga.e haiñ mere qadam

    tire dar pe to ab ham salām likhte haiñ

    sulagte sho.ale to hote haiñ jalāne ko

    jo jal chuke haiñ vo zaḳhmī avaam likhte haiñ

    ye kaise kaisoñ ko ham ne banāyā rāh-numā

    halāl chiiz ko jo ab harām likhte haiñ

    bahut ġharīb haiñ bhūke haiñ ehtijājan ham

    bayāz-e-vaqt pe ye sub.h-o-shām likhte haiñ

    unheñ ḳhabar nahīñ 'sāhir' ham aaj haiñ āzād

    jo apne aap ko ab bhī ġhulām likhte haiñ

    chamakte taron pe tera hi nam likhte hain

    sunahre lafzon mein tujh ko payam likhte hain

    tere dayar pe jab ruk gae hain mere qadam

    tere hi dar pe to ab hum salam likhte hain

    sulagte shoale to hote hi hain jalane ko

    jo jal chuke hain wo zaKHmi awam likhte hain

    ye kaise kaison ko hum ne banaya rah-numa

    halal chiz ko jo ab haram likhte hain

    bahut gharib hain bhuke hain ehtijajan hum

    bayaz-e-waqt pe ye subh-o-sham likhte hain

    unhen KHabar nahin 'sahir' hum aaj hain aazad

    jo apne aap ko ab bhi ghulam likhte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now