chaman-badosh hue ja rahe hain virane
chaman-badosh hue jā rahe haiñ vīrāne
ye naqsh kaun se ubhre haiñ tere dīvāne
haiñ aks-e-ain-haqīqat diloñ ke kāshāne
ġhubār se na chhupeñge ye ā.ina-ḳhāne
hamārā ālam-e-begānagī ḳhudā kī panāh
ki raushnī meñ bhī apnī na ḳhud ko pahchāne
ab aur kaun se gul rah ga.e haiñ khilne ko
ilāhī ḳhair ho kyoñ muskurā.e dīvāne
rahe tasarruf-e-barham-nigāhī-e-sāqī
ki chashm-e-yās se Dhal Dhal ke aa.e paimāne
ḳhudī-e-husn bhī thī be-ḳhudī-e-ishq bhī thī
ki umr bhar vo hameñ ham unheñ na pahchāne
piyā karegā ba-miqdār-e-zarf har mai-kash
haTā.e jā.eñge ab mai-kadoñ se paimāne
ba-ehtirām-e-tajallī ba-qaid-e-ḳhuddārī
nigāh-e-sham.a se gir kar uThe na parvāne
jo kho ke rah ga.e unvān ke añdheroñ meñ
mirī nigāh meñ aise bhī haiñ kuchh afsāne
pahuñch sake na 'shifā' sarhad-e-haqīqat tak
fareb itne diye e'tibār-e-duniyā ne
chaman-badosh hue ja rahe hain virane
ye naqsh kaun se ubhre hain tere diwane
hain aks-e-ain-haqiqat dilon ke kashane
ghubar se na chhupenge ye aaina-KHane
hamara aalam-e-beganagi KHuda ki panah
ki raushni mein bhi apni na KHud ko pahchane
ab aur kaun se gul rah gae hain khilne ko
ilahi KHair ho kyon muskurae diwane
rahe tasarruf-e-barham-nigahi-e-saqi
ki chashm-e-yas se Dhal Dhal ke aae paimane
KHudi-e-husn bhi thi be-KHudi-e-ishq bhi thi
ki umr bhar wo hamein hum unhen na pahchane
piya karega ba-miqdar-e-zarf har mai-kash
haTae jaenge ab mai-kadon se paimane
ba-ehtiram-e-tajalli ba-qaid-e-KHuddari
nigah-e-shama se gir kar uThe na parwane
jo kho ke rah gae unwan ke andheron mein
meri nigah mein aise bhi hain kuchh afsane
pahunch sake na 'shifa' sarhad-e-haqiqat tak
fareb itne diye e'tibar-e-duniya ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.