chaman chaman mein nae jun gulab khilte hain
chaman chaman meñ na.e juuñ gulāb khilte haiñ
hamāre ḳhuun se yuuñ inqalāb khilte haiñ
'ajīb zid hai ki murjhā ga.ī haiñ tā'bīreñ
magar na.e se phir āñkhoñ meñ ḳhvāb khilte haiñ
bas ik umiid liye jī rahe haiñ sahrā meñ
ham aise phuul faqat sun ke aab khilte haiñ
ka.ī javāb the jo bo ga.e savāloñ ko
ka.ī savāl haiñ jo lā-javāb khilte haiñ
kisī kā lams ḳhudāyā 'ayāñ na kar de inheñ
hamāre zaḳhm to zer-e-hijāb khilte haiñ
bujhe bujhe se charāġhoñ kī raushnī le kar
hamāre saa.e meñ phir āftāb khilte haiñ
chaman chaman mein nae jun gulab khilte hain
hamare KHun se yun inqalab khilte hain
'ajib zid hai ki murjha gai hain ta'biren
magar nae se phir aankhon mein KHwab khilte hain
bas ek umid liye ji rahe hain sahra mein
hum aise phul faqat sun ke aab khilte hain
kai jawab the jo bo gae sawalon ko
kai sawal hain jo la-jawab khilte hain
kisi ka lams KHudaya 'ayan na kar de inhen
hamare zaKHm to zer-e-hijab khilte hain
bujhe bujhe se charaghon ki raushni le kar
hamare sae mein phir aaftab khilte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.