chaman ka husn bahaaron ki shoKHiyan le kar
chaman kā husn bahāroñ kī shoḳhiyāñ le kar
vo aa rahe haiñ nigāhoñ meñ mastiyāñ le kar
tire ḳhulūs pe saaqī na harf aa jaa.e
maiñ pī rahā huuñ zamāne se talḳhiyāñ le kar
tumhārī shoḳh nigāhoñ ne tāzgī baḳhshī
diloñ ke ġhunche chaTakte haiñ siskiyāñ le kar
shu'ūr-e-zāt meñ ehsās kā diyā rakh do
zamāna madd-e-muqābil hai āñdhiyāñ le kar
mujhe na aa ke jagā denā ḳhvāb-e-shīrīñ se
maiñ so rahā huuñ tumhārī nishāniyāñ le kar
'adīm' aaj maiñ ahl-e-suḳhan kī mahfil se
chalā huuñ apne taḳhayyul kī dhajjiyāñ le kar
chaman ka husn bahaaron ki shoKHiyan le kar
wo aa rahe hain nigahon mein mastiyan le kar
tere KHulus pe saqi na harf aa jae
main pi raha hun zamane se talKHiyan le kar
tumhaari shoKH nigahon ne tazgi baKHshi
dilon ke ghunche chaTakte hain siskiyan le kar
shu'ur-e-zat mein ehsas ka diya rakh do
zamana madd-e-muqabil hai aandhiyan le kar
mujhe na aa ke jaga dena KHwab-e-shirin se
main so raha hun tumhaari nishaniyan le kar
'adim' aaj main ahl-e-suKHan ki mahfil se
chala hun apne taKHayyul ki dhajjiyan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.