chaman ke dil-nashin KHush-rang manzaron ke charagh
chaman ke dil-nashin KHush-rang manzaron ke charagh
Abdul Hafeez Khalish Taskini
MORE BYAbdul Hafeez Khalish Taskini
chaman ke dil-nashīñ ḳhush-rañg manzaroñ ke charāġh
ye titliyoñ kī guzargāheñ ye guloñ ke charāġh
añdherī raat meñ barsāt kī mirī mohsin
chamaktī bijliyāñ ya.anī ye bādaloñ ke charāġh
mire qalam se munavvar hoñ zehn logoñ ke
jalā.ūñ bazm meñ duniyā kī tajraboñ ke charāġh
nazar se chūmā thā maiñ ne tumhāre jalvoñ ko
bhulā.e jaate nahīñ un hasīñ rutoñ ke charāġh
qadam uThānā kaThin ho gayā tirī jānib
bujhā diye mirī qismat ne rāstoñ ke charāġh
unheñ bujhā.egī fauran havā zamāne kī
jo ḳhvāb dekheñge mahloñ ke jhoñpaḌoñ ke charāġh
chaman ke dil-nashin KHush-rang manzaron ke charagh
ye titliyon ki guzargahen ye gulon ke charagh
andheri raat mein barsat ki meri mohsin
chamakti bijliyan yani ye baadalon ke charagh
mere qalam se munawwar hon zehn logon ke
jalaun bazm mein duniya ki tajrabon ke charagh
nazar se chuma tha main ne tumhaare jalwon ko
bhulae jate nahin un hasin ruton ke charagh
qadam uThana kaThin ho gaya teri jaanib
bujha diye meri qismat ne raston ke charagh
unhen bujhaegi fauran hawa zamane ki
jo KHwab dekhenge mahlon ke jhonpaDon ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.