chaman ke nau-damida gul bahaaron se KHafa baiThe
chaman ke nau-damida gul bahaaron se KHafa baiThe
Amjed Ashraf Malla
MORE BYAmjed Ashraf Malla
chaman ke nau-damīda gul bahāroñ se ḳhafā baiThe
sabāhat meñ ḳhalish paiham asīr-e-ġham havā baiThe
abhī fard-e-vafā ik jāñ-ba-lab hai shahr-e-giryāñ meñ
tabhī sab pā-ba-gil pahle bichhā farsh-e-azā baiThe
havā.eñ raaj kartī haiñ bujhā kar sham-e-ulfat ko
ye sun kar kunj-e-uzlat meñ sitam-kash muskurā baiThe
kahā jab ahl-e-bīnash ne jalāl-e-pādshāhī kyā
ġhubār-e-rah uThā kar ham havā meñ tab uḌā baiThe
kamāl-e-sabr bhī ham ko mayassar thā magar ham to
junūñ meñ apnī hastī ko zamāne se miTā baiThe
hamārī hasratoñ par ab lagī qadġhan adāvat kī
harīfoñ kī himāyat meñ rafīqoñ ko satā baiThe
matā-o-māl merā sab luTāyā rahbaroñ ne hai
gila ab rahzanoñ se kyā ki 'amjad' vo bachā baiThe
chaman ke nau-damida gul bahaaron se KHafa baiThe
sabahat mein KHalish paiham asir-e-gham hawa baiThe
abhi fard-e-wafa ek jaan-ba-lab hai shahr-e-giryan mein
tabhi sab pa-ba-gil pahle bichha farsh-e-aza baiThe
hawaen raj karti hain bujha kar sham-e-ulfat ko
ye sun kar kunj-e-uzlat mein sitam-kash muskura baiThe
kaha jab ahl-e-binash ne jalal-e-padshahi kya
ghubar-e-rah uTha kar hum hawa mein tab uDa baiThe
kamal-e-sabr bhi hum ko mayassar tha magar hum to
junun mein apni hasti ko zamane se miTa baiThe
hamari hasraton par ab lagi qadghan adawat ki
harifon ki himayat mein rafiqon ko sata baiThe
mata-o-mal mera sab luTaya rahbaron ne hai
gila ab rahzanon se kya ki 'amjad' wo bacha baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.