chaman ki bulbulen hain sogwar muddat se
chaman kī bulbuleñ haiñ sogvār muddat se
har ek chashm hai sū-e-bahār muddat se
hamāre dil kī lagī ko bujhā.iye aa kar
bhaḌak rahe haiñ musalsal sharār muddat se
tumhārī yaad se dil ko qarār hai lekin
tumhāre aane kā hai intizār muddat se
du'āoñ ko mire maulā tū pur-asar kar de
khaḌā hai dar pe tire ḳhāksār muddat se
har ik tabīb kī tadbīr be-asar niklī
kahīñ milā nahīñ dil ko qarār muddat se
hamārā shajra bhī miltā hai us ke shajre se
vo jis kā dil meñ banā hai mazār muddat se
vo duur jaatā hai 'tāriq' to jaan jaatī hai
vo jis pe aap ko aatā hai pyaar muddat se
chaman ki bulbulen hain sogwar muddat se
har ek chashm hai su-e-bahaar muddat se
hamare dil ki lagi ko bujhaiye aa kar
bhaDak rahe hain musalsal sharar muddat se
tumhaari yaad se dil ko qarar hai lekin
tumhaare aane ka hai intizar muddat se
du'aon ko mere maula tu pur-asar kar de
khaDa hai dar pe tere KHaksar muddat se
har ek tabib ki tadbir be-asar nikli
kahin mila nahin dil ko qarar muddat se
hamara shajra bhi milta hai us ke shajre se
wo jis ka dil mein bana hai mazar muddat se
wo dur jata hai 'tariq' to jaan jati hai
wo jis pe aap ko aata hai pyar muddat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.