chaman ko mausam-e-gul aa ke tazgi dega
chaman ko mausam-e-gul aa ke tāzgī degā
charāġh kī ye jibillat hai raushnī degā
baḌī umiid se maiḳhāne aa.e sahrā se
kise ḳhabar thī ki saaqī bhī tishnagī degā
ab un kī bazm meñ jaa.e to koī kyoñ jaa.e
pata hai zulm kā shaidā.ī bebasī degā
ḳhudā ke ghar meñ magar soch kar ye aa.e haiñ
ye ek sajda hameñ lutf-e-bandagī degā
na rakh umiid kabhī bazm-e-ishq chamkegī
ki husn ḳhūgar-e-zulmat hai tīrgī degā
jab us ne maut hī bāñTī hai umr bhar 'dānish'
to kaise maan leñ vo ham ko zindagī degā
chaman ko mausam-e-gul aa ke tazgi dega
charagh ki ye jibillat hai raushni dega
baDi umid se maiKHane aae sahra se
kise KHabar thi ki saqi bhi tishnagi dega
ab un ki bazm mein jae to koi kyon jae
pata hai zulm ka shaidai bebasi dega
KHuda ke ghar mein magar soch kar ye aae hain
ye ek sajda hamein lutf-e-bandagi dega
na rakh umid kabhi bazm-e-ishq chamkegi
ki husn KHugar-e-zulmat hai tirgi dega
jab us ne maut hi banTi hai umr bhar 'danish'
to kaise man len wo hum ko zindagi dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.