chaman kya hai ye aankhen bhul jati hain gulon ki kaj-kulahi bhi
chaman kyā hai ye āñkheñ bhuul jaatī haiñ guloñ kī kaj-kulāhī bhī
sar-e-mizhgāñ 'ajab shai hai rag-e-sahrā kī be-āb-o-giyāhī bhī
maiñ apne aap se saare mahāzoñ par jidāl-o-jang kartā huuñ
ki apne lashkar-e-tanhā-nafar kā miir bhī huuñ maiñ sipāhī bhī
hayāt-e-jāvedāñ baḳhshī hai jin kī sho'lagī ne mehr-e-tābāñ ko
kise mā'lūm thā un munqasim zarroñ se aa.egī tabāhī bhī
nahīñ aisā nahīñ hai raushnī hī raushnī kartī nahīñ har-sū
diye kī lau ugaltī hai dhueñ kī shakl meñ pinhāñ siyāhī bhī
chaman kya hai ye aankhen bhul jati hain gulon ki kaj-kulahi bhi
sar-e-mizhgan 'ajab shai hai rag-e-sahra ki be-ab-o-giyahi bhi
main apne aap se sare mahazon par jidal-o-jang karta hun
ki apne lashkar-e-tanha-nafar ka mir bhi hun main sipahi bhi
hayat-e-jawedan baKHshi hai jin ki sho'lagi ne mehr-e-taban ko
kise ma'lum tha un munqasim zarron se aaegi tabahi bhi
nahin aisa nahin hai raushni hi raushni karti nahin har-su
diye ki lau ugalti hai dhuen ki shakl mein pinhan siyahi bhi
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.