chaman mein aamad-e-rangini-e-numu kahiye
chaman meñ āmad-e-rangīnī-e-numū kahiye
bahār aane ko tajdīd-e-rang-o-bū kahiye
maiñ gum huā to milā hai surāġh manzil kā
is āgahī ke safar ko hī justujū kahiye
na.e safar pe ga.e ham pahuñch ke manzil par
masāfatoñ ke tasalsul ko aarzū kahiye
nazar nazar hī meñ apnā mukālima kar ke
yuuñ boltī sī ḳhamoshī ko guftugū kahiye
talāsh ḳhud ko kiyā jab vahī nazar aaya
mirī talab ko usī dar kī aarzū kahiye
milā hai ḳhūn-e-jigar apnī ashk-rezī se
ki āñsuoñ ko Tapaktā huā lahū kahiye
zarā sañbhal ke hī kījegā shā'irī 'ādil'
ġhazal kī sinf ko urdu kī aabrū kahiye
chaman mein aamad-e-rangini-e-numu kahiye
bahaar aane ko tajdid-e-rang-o-bu kahiye
main gum hua to mila hai suragh manzil ka
is aagahi ke safar ko hi justuju kahiye
nae safar pe gae hum pahunch ke manzil par
masafaton ke tasalsul ko aarzu kahiye
nazar nazar hi mein apna mukalima kar ke
yun bolti si KHamoshi ko guftugu kahiye
talash KHud ko kiya jab wahi nazar aaya
meri talab ko usi dar ki aarzu kahiye
mila hai KHun-e-jigar apni ashk-rezi se
ki aansuon ko Tapakta hua lahu kahiye
zara sanbhal ke hi kijega sha'iri 'adil'
ghazal ki sinf ko urdu ki aabru kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.