chaman mein dekh ghunchon ko jawani apni yaad aai
chaman mein dekh ghunchon ko jawani apni yaad aai
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
chaman meñ dekh ġhunchoñ ko javānī apnī yaad aa.ī
fasāna sun ke bulbul kā kahānī apnī yaad aa.ī
jo dekhī nargis-e-bīmār gulshan meñ to bas ham ko
bahut riqqat huī aur nā-tavānī apnī yaad aa.ī
sunā kal dekhte hī aa.ine ko kyā kahūñ tum se
mujhe bas aañkh hai hai DabDabā.ī apnī yaad aa.ī
chaman meñ chahchahā bulbul kā bas jūñhī sunā ham ne
to bas yāroñ meñ ham ko sher-ḳhvānī apnī yaad aa.ī
jo dekhā hāl-e-sham.a sub.h ham ne bazm meñ jā kar
to ham ko umr-e-be-hūda gañvānī apnī yaad aa.ī
sabā ke chheḌ jo ham ne guloñ se sub.h-dam dekhī
to us gul-rū se ham ko chheḌ-ḳhvānī apnī yaad aa.ī
huā jaatā hai siine meñ jo dil ḳhuuñ hamdamo shāyad
kahīñ us shoḳh ko mehñdī rachānī apnī yaad aa.ī
hilā.ī jo sabā ne zulf-e-pur-ḳham us parī-vash ko
to vo zanjīr-e-dar ham ko hilānī apnī yaad aa.ī
na pūchho kuchh ki hañgām-e-tamāshā dekh dariyā ko
mujhe kyā kyā tabī.at kī ravānī apnī yaad aa.ī
ye tū ne 'aish' dekhī zulf-e-pechāñ kis kī jo tujh ko
pareshāñ-ḳhātirī āshufta-jānī apnī yaad aa.ī
chaman mein dekh ghunchon ko jawani apni yaad aai
fasana sun ke bulbul ka kahani apni yaad aai
jo dekhi nargis-e-bimar gulshan mein to bas hum ko
bahut riqqat hui aur na-tawani apni yaad aai
suna kal dekhte hi aaine ko kya kahun tum se
mujhe bas aankh hai hai DabDabai apni yaad aai
chaman mein chahchaha bulbul ka bas junhi suna hum ne
to bas yaron mein hum ko sher-KHwani apni yaad aai
jo dekha haal-e-shama subh hum ne bazm mein ja kar
to hum ko umr-e-be-huda ganwani apni yaad aai
saba ke chheD jo hum ne gulon se subh-dam dekhi
to us gul-ru se hum ko chheD-KHwani apni yaad aai
hua jata hai sine mein jo dil KHun hamdamo shayad
kahin us shoKH ko mehndi rachani apni yaad aai
hilai jo saba ne zulf-e-pur-KHam us pari-wash ko
to wo zanjir-e-dar hum ko hilani apni yaad aai
na puchho kuchh ki hangam-e-tamasha dekh dariya ko
mujhe kya kya tabiat ki rawani apni yaad aai
ye tu ne 'aish' dekhi zulf-e-pechan kis ki jo tujh ko
pareshan-KHatiri aashufta-jaani apni yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.