chaman mein jab bahaar aai to diwane machal uTThe
chaman mein jab bahaar aai to diwane machal uTThe
Hamid-ul-Ansari Anjum
MORE BYHamid-ul-Ansari Anjum
chaman meñ jab bahār aa.ī to dīvāne machal uTThe
huā jab zikr-e-chashm-e-mast paimāne machal uTThe
havā-e-fasl-e-gul aa.ī ghaTā ghanghor jab chhā.ī
chalā yuuñ daur-e-paimāna ki maiḳhāne machal uTThe
yaqīnan rabt-e-bāham koī husn-o-'ishq meñ hogā
jalī jab sham' mahfil meñ to parvāne machal uTThe
pilā.e jā are saaqī agar kuchh bhī hai mai baaqī
tirī dariyā-dilī dekhī to mastāne machal uTThe
kisī jān-e-vafā kā tazkira unvān-e-mahfil hai
bahāreñ jhuum uTThīñ aur afsāne machal uTThe
kuchh is andāz se zindāñ meñ paiġhām-e-bahār aayā
ki dīvāne to dīvāne the farzāne machal uTThe
chale ahl-e-junūñ josh-e-junūñ meñ jab bayābāñ ko
kiyā kāñToñ ne istiqbāl vīrāne machal uTThe
barahman mast hotā hai faqat nāqūs kī lai par
sunī bāñg-e-azāñ tasbīh ke daane machal uTThe
mire iḳhlās-o-jazb-e-dil kī ye tāsīr hai 'anjum'
yagānoñ kā to kyā kahnā hai begāne machal uTThe
chaman mein jab bahaar aai to diwane machal uTThe
hua jab zikr-e-chashm-e-mast paimane machal uTThe
hawa-e-fasl-e-gul aai ghaTa ghanghor jab chhai
chala yun daur-e-paimana ki maiKHane machal uTThe
yaqinan rabt-e-baham koi husn-o-'ishq mein hoga
jali jab sham' mahfil mein to parwane machal uTThe
pilae ja are saqi agar kuchh bhi hai mai baqi
teri dariya-dili dekhi to mastane machal uTThe
kisi jaan-e-wafa ka tazkira unwan-e-mahfil hai
bahaaren jhum uTThin aur afsane machal uTThe
kuchh is andaz se zindan mein paigham-e-bahaar aaya
ki diwane to diwane the farzane machal uTThe
chale ahl-e-junun josh-e-junun mein jab bayaban ko
kiya kanTon ne istiqbaal virane machal uTThe
barahman mast hota hai faqat naqus ki lai par
suni bang-e-azan tasbih ke dane machal uTThe
mere iKHlas-o-jazb-e-dil ki ye tasir hai 'anjum'
yaganon ka to kya kahna hai begane machal uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.