chaman mein kanTon ki gul ko chubhan sulati hai
chaman meñ kāñToñ kī gul ko chubhan sulātī hai
hameñ ye raat nahīñ ab thakan sulātī hai
hamārī ruuh bhaTaktī hai raat bhar bāhar
ye niiñd sirf hamārā badan sulātī hai
kabhī kabhī to añdherā huā so jaate haiñ
kabhī to sub.h kī pahlī kiran sulātī hai
kisī ke hijr meñ qaidī ka.ī baras rahe ham
hameñ to kamre kī bas ab ghuTan sulātī hai
lage raho ki zarā bhī kahīñ na aañkh lage
lage hī rahne kī ham ko lagan sulātī hai
‘imāratoñ ke ye jangal meñ so.eñ bhī kaise
jinheñ hamesha hī ḳhushbū-e-ban sulātī hai
chaman mein kanTon ki gul ko chubhan sulati hai
hamein ye raat nahin ab thakan sulati hai
hamari ruh bhaTakti hai raat bhar bahar
ye nind sirf hamara badan sulati hai
kabhi kabhi to andhera hua so jate hain
kabhi to subh ki pahli kiran sulati hai
kisi ke hijr mein qaidi kai baras rahe hum
hamein to kamre ki bas ab ghuTan sulati hai
lage raho ki zara bhi kahin na aankh lage
lage hi rahne ki hum ko lagan sulati hai
‘imaraton ke ye jangal mein soen bhi kaise
jinhen hamesha hi KHushbu-e-ban sulati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.