chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin
chaman meñ lāla-o-gul par nikhār bhī to nahīñ
ḳhizāñ agar ye nahīñ hai bahār bhī to nahīñ
tamāzat-e-ġham-e-daurāñ se phuñk rahī hai hayāt
kahīñ pe sāya-e-gesū-e-yār bhī to nahīñ
ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat bajā sahī lekin
ab apne dil pe hameñ iḳhtiyār bhī to nahīñ
kabhī to jān-e-vafā hai kabhī hai dushman-e-jāñ
tirī nazar kā koī e'tibār bhī to nahīñ
ba-īñ taġhāful-e-paiham sitam to ye hai 'surūr'
maiñ us kī ḳhātir-e-nāzuk pe baar bhī to nahīñ
chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin
KHizan agar ye nahin hai bahaar bhi to nahin
tamazat-e-gham-e-dauran se phunk rahi hai hayat
kahin pe saya-e-gesu-e-yar bhi to nahin
KHayal-e-tark-e-mohabbat baja sahi lekin
ab apne dil pe hamein iKHtiyar bhi to nahin
kabhi to jaan-e-wafa hai kabhi hai dushman-e-jaan
teri nazar ka koi e'tibar bhi to nahin
ba-in taghaful-e-paiham sitam to ye hai 'surur'
main us ki KHatir-e-nazuk pe bar bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.