chaman mein phulon ka daman-e-tar-tar bhi dekh
chaman meñ phūloñ kā dāmān-e-tār-tār bhī dekh
bahār dekh chukā hāsil-e-bahār bhī dekh
asīr-e-sub.h-e-tarab shām-e-sogvār bhī dekh
guzarte lamhoñ kā ik aur shāhkār bhī dekh
mah-o-nujūm ke jalvoñ se khelne vaale
fazā meñ phailā huā rang-e-intishār bhī dekh
tire ḳhayāl se aage tirī nazar se pare
jo pal rahe haiñ vo lamhāt-e-ḳhalfishār bhī dekh
nikal ke marmarīñ mahloñ ke sard-ḳhānoñ se
tapā tapā sā ġharīboñ kā reg-zār bhī dekh
bahār ġhuncha-o-gul se nazar haTā ke zarā
sisaktī qaum ke zaḳhmoñ kā lāla-zār bhī dekh
ba-nām-e-amn liye aslahoñ ke dāman se
jo uTh rahā hai vo tūfān-e-sho.ala-bār bhī dekh
lahū lahū hai jahāñ jism-e-āshtī 'ahmar'
sitam-rasīdoñ kā vo ḳhūñ-chakāñ dayār bhī dekh
chaman mein phulon ka daman-e-tar-tar bhi dekh
bahaar dekh chuka hasil-e-bahaar bhi dekh
asir-e-subh-e-tarab sham-e-sogwar bhi dekh
guzarte lamhon ka ek aur shahkar bhi dekh
mah-o-nujum ke jalwon se khelne wale
faza mein phaila hua rang-e-intishaar bhi dekh
tere KHayal se aage teri nazar se pare
jo pal rahe hain wo lamhat-e-KHalfishaar bhi dekh
nikal ke marmarin mahlon ke sard-KHanon se
tapa tapa sa gharibon ka reg-zar bhi dekh
bahaar ghuncha-o-gul se nazar haTa ke zara
sisakti qaum ke zaKHmon ka lala-zar bhi dekh
ba-nam-e-amn liye aslahon ke daman se
jo uTh raha hai wo tufan-e-shoala-bar bhi dekh
lahu lahu hai jahan jism-e-ashti 'ahmar'
sitam-rasidon ka wo KHun-chakan dayar bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.