chaman mein rah ke bhi dil ko agar qarar nahin
chaman meñ rah ke bhī dil ko agar qarār nahīñ
to ye bahār kī tauhīn hai bahār nahīñ
tumhārā husn jo phūloñ se āshkār nahīñ
mirī nigāh bhī sharminda-e-bahār nahīñ
huzūr aap ke va.adoñ kā kyā yaqīñ aa.e
yahāñ to ziist pe bhī apnī e.atibār nahīñ
hai zindagī mirī ik hādisa jahāñ ke liye
mirī tabāhī pe kaun aaj ashk-bār nahīñ
vo aañkh kyā ki mohabbat meñ ḳhuuñ bahā na sake
vo dil hī kyā hai jo zaḳhmoñ se lāla-zār nahīñ
koī hazār sarāpā ḳhulūs ban jaa.e
hameñ kisī kā bhī 'anjum' ab e.atibār nahīñ
chaman mein rah ke bhi dil ko agar qarar nahin
to ye bahaar ki tauhin hai bahaar nahin
tumhaara husn jo phulon se aashkar nahin
meri nigah bhi sharminda-e-bahaar nahin
huzur aap ke wadon ka kya yaqin aae
yahan to zist pe bhi apni eatibar nahin
hai zindagi meri ek hadisa jahan ke liye
meri tabahi pe kaun aaj ashk-bar nahin
wo aankh kya ki mohabbat mein KHun baha na sake
wo dil hi kya hai jo zaKHmon se lala-zar nahin
koi hazar sarapa KHulus ban jae
hamein kisi ka bhi 'anjum' ab eatibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.