chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho
chaman meñ rah ke guloñ par jab iḳhtiyār na ho
to vo chaman kabhī sharminda-e-bahār na ho
koī jahān meñ azmat bahār kī na kare
agar hamārā garebāñ hī taar taar na ho
ye bhed khul nahīñ saktā hai ahl-e-zāhir par
koī junūn-e-mohabbat kā rāzdār na ho
abhī to aisī hazāroñ shabeñ guzarnī haiñ
asīr-e-shām-e-alam itnā be-qarār na ho
vahī ki jis kī qayādat kareñ ġhalat rahbar
vo kārvāñ kabhī manzil se ham-kanār na ho
mirā jahān-e-tamannā ujāḌne vaale
tabāhiyoñ pe mirī dekh sharmsār na ho
vafā-shi.ār vafā kā na kar kabhī iz.hār
agar vafā kā zamāne ko e'tibār na ho
na luuñ panāh junūñ kī to kyā karūñ hamdam
kisī tarah bhī mire dil ko jab qarār na ho
galī meñ rahne kā do izn-e-mustaqil mujh ko
sukūñ vo chaah rahā huuñ jo musta.ār na ho
phir aane vaale havādis se kaun khelegā
safīna dāman-e-sāhil se ham-kanār na ho
yahī bahār agar hai to 'mauj' mumkin hai
junūñ ke haath ko dāman pe iḳhtiyār na ho
chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho
to wo chaman kabhi sharminda-e-bahaar na ho
koi jahan mein azmat bahaar ki na kare
agar hamara gareban hi tar tar na ho
ye bhed khul nahin sakta hai ahl-e-zahir par
koi junun-e-mohabbat ka raazdar na ho
abhi to aisi hazaron shaben guzarni hain
asir-e-sham-e-alam itna be-qarar na ho
wahi ki jis ki qayaadat karen ghalat rahbar
wo karwan kabhi manzil se ham-kanar na ho
mera jahan-e-tamanna ujaDne wale
tabahiyon pe meri dekh sharmsar na ho
wafa-shiar wafa ka na kar kabhi izhaar
agar wafa ka zamane ko e'tibar na ho
na lun panah junun ki to kya karun hamdam
kisi tarah bhi mere dil ko jab qarar na ho
gali mein rahne ka do izn-e-mustaqil mujh ko
sukun wo chah raha hun jo mustaar na ho
phir aane wale hawadis se kaun khelega
safina daman-e-sahil se ham-kanar na ho
yahi bahaar agar hai to 'mauj' mumkin hai
junun ke hath ko daman pe iKHtiyar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.