chaman mein us gul-e-rana se guftugu to hui
chaman meñ us gul-e-ra.anā se guftugū to huī
kahīñ kī baat sahī sharh-e-ārzū to huī
jahān-e-ishq meñ kuchh fikr-o-justujū to huī
udhar bhī jazba-e-betāb kī numū to huī
nazar ke sāmne ā.īna-e-jamāl rahā
niyāz-e-ishq kī aaj itnī aabrū to huī
ba-faiz-e-soz-e-yaqīñ ham tire qarīb aa.e
tajallī-e-mah-e-nādīda rū-ba-rū to huī
butān-e-arsh the dair-o-haram meñ afsāna
vo ham ki jāda-o-manzil kī justujū to huī
chaman-chaman haiñ tire yaad ke hasīñ lamhe
shab-e-firāq bhī mānūs-e-rang-o-bū to huī
ġhurūr-e-husn bahut baḌh gayā magar 'saifī'
rumūz-e-ishq pe jī-bhar ke guftugū to huī
chaman mein us gul-e-rana se guftugu to hui
kahin ki baat sahi sharh-e-arzu to hui
jahan-e-ishq mein kuchh fikr-o-justuju to hui
udhar bhi jazba-e-betab ki numu to hui
nazar ke samne aaina-e-jamal raha
niyaz-e-ishq ki aaj itni aabru to hui
ba-faiz-e-soz-e-yaqin hum tere qarib aae
tajalli-e-mah-e-nadida ru-ba-ru to hui
butan-e-arsh the dair-o-haram mein afsana
wo hum ki jada-o-manzil ki justuju to hui
chaman-chaman hain tere yaad ke hasin lamhe
shab-e-firaq bhi manus-e-rang-o-bu to hui
ghurur-e-husn bahut baDh gaya magar 'saifi'
rumuz-e-ishq pe ji-bhar ke guftugu to hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.