chaman mein zindagi aisi hai sathiyon ke baghair
chaman mein zindagi aisi hai sathiyon ke baghair
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
chaman meñ zindagī aisī hai sāthiyoñ ke baġhair
ki jaise rasm-e-‘urūsī barātiyoñ ke baġhair
guloñ ke shahr meñ kāñToñ kī baat kyoñ na karūñ
ḳhushī ḳhushī nahīñ rahtī udāsiyoñ ke baġhair
jab inqalāb ne shāhoñ ke taḳht chhīn liye
banī na baat haqīqat-shanāsiyoñ ke baġhair
zamīñ se tā-ba-falak zindagī ko dekhā hai
bas ek zaat nazar aa.ī ḳhāmiyoñ ke baġhair
ye inqalāb kisī hādse se kam to nahīñ
chaman meñ farsh pe patte haiñ Dāliyoñ ke baġhair
sazā jazā ke tasavvur ko aaj bhī 'zaidī'
nazar meñ koī na laayā ham 'āsiyoñ ke baġhair
chaman mein zindagi aisi hai sathiyon ke baghair
ki jaise rasm-e-‘urusi baraatiyon ke baghair
gulon ke shahr mein kanTon ki baat kyon na karun
KHushi KHushi nahin rahti udasiyon ke baghair
jab inqalab ne shahon ke taKHt chhin liye
bani na baat haqiqat-shanasiyon ke baghair
zamin se ta-ba-falak zindagi ko dekha hai
bas ek zat nazar aai KHamiyon ke baghair
ye inqalab kisi hadse se kam to nahin
chaman mein farsh pe patte hain Daliyon ke baghair
saza jaza ke tasawwur ko aaj bhi 'zaidi'
nazar mein koi na laya hum 'asiyon ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.