chaman mera hai gul mera hai shaKH-e-ashiyan meri
chaman merā hai gul merā hai shāḳh-e-āshiyāñ merī
chaman kā pattā-pattā milkiyat hai bāġhbāñ merī
kareñge ġhaur ik ik baat par ahl-e-jahāñ merī
dahan hogā agar un kā to bolegī zabāñ merī
mire is rāz-e-sar-basta ko kyā ahl-e-jahāñ samjheñ
ye bas mujh par hī raushan hai ki nazreñ haiñ jahāñ merī
vahīñ tak manzil-e-irfāñ numāyāñ hotī jaatī hai
jahāñ tak jā rahī hai aaj gard-e-kārvāñ merī
jahāñ ahl-e-ḳhirad bhī hosh se begāna hote haiñ
paḌī hai be-ḳhudī meñ ik nazar aisī vahāñ merī
ḳhudā jaane ki kyā kyā hashr barpā hoñ sar-e-mahfil
munāsib hai to bas ye hai na khulvāo zabāñ merī
maiñ insāñ huuñ na kyoñ ho naaz mujh ko apnī hastī par
rahī hai 'fauq' barsoñ tak mashiyyat rāz-dāñ merī
chaman mera hai gul mera hai shaKH-e-ashiyan meri
chaman ka patta-patta milkiyat hai baghban meri
karenge ghaur ek ek baat par ahl-e-jahan meri
dahan hoga agar un ka to bolegi zaban meri
mere is raaz-e-sar-basta ko kya ahl-e-jahan samjhen
ye bas mujh par hi raushan hai ki nazren hain jahan meri
wahin tak manzil-e-irfan numayan hoti jati hai
jahan tak ja rahi hai aaj gard-e-karwan meri
jahan ahl-e-KHirad bhi hosh se begana hote hain
paDi hai be-KHudi mein ek nazar aisi wahan meri
KHuda jaane ki kya kya hashr barpa hon sar-e-mahfil
munasib hai to bas ye hai na khulwao zaban meri
main insan hun na kyon ho naz mujh ko apni hasti par
rahi hai 'fauq' barson tak mashiyyat raaz-dan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.