chaman se dur hawa ki aman se bahar
chaman se duur havā kī amaan se bāhar
kiyā hai ham ne baserā uḌaan se bāhar
gharoñ meñ ghus ke havā toḌ-phoḌ kartī rahī
khaḌī thī dhuup magar sā.ebān se bāhar
vo ham hī the jo havā meñ charāġh le ke chale
qadam hamīñ ne nikāle makān se bāhar
paḌī haiñ hāthoñ meñ 'ahd-e-du'ā kī hathkaḌiyāñ
vagarna ham bhī ga.e the makān se bāhar
tumhāre shahr se achchhā hamārā jangal hai
zarā nikal ke to dekho machān se bāhar
bichhaḌ ke tum se to ham aise TūT-phūT ga.e
shikasta tiir ho jaise kamān se bāhar
vo ḳhvāhishoñ kā samundar zabān se 'aarī
vo puure chāñd kā manzar bayān se bāhar
'atā huī hameñ 'bāqar' laboñ kī āzādī
par ek lafz na niklā zabān se bāhar
chaman se dur hawa ki aman se bahar
kiya hai hum ne basera uDan se bahar
gharon mein ghus ke hawa toD-phoD karti rahi
khaDi thi dhup magar saeban se bahar
wo hum hi the jo hawa mein charagh le ke chale
qadam hamin ne nikale makan se bahar
paDi hain hathon mein 'ahd-e-du'a ki hathkaDiyan
wagarna hum bhi gae the makan se bahar
tumhaare shahr se achchha hamara jangal hai
zara nikal ke to dekho machan se bahar
bichhaD ke tum se to hum aise TuT-phuT gae
shikasta tir ho jaise kaman se bahar
wo KHwahishon ka samundar zaban se 'ari
wo pure chand ka manzar bayan se bahar
'ata hui hamein 'baqar' labon ki aazadi
par ek lafz na nikla zaban se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.