chaman se gul se wo rishta purana DhunDte rahna
chaman se gul se vo rishta purānā DhūñDte rahnā
añdheroñ meñ bhī apnā āshiyāna DhūñDte rahnā
kabhī ālām-e-daurāñ se na thak kar baiTh jaanā tum
mohabbat kā uḳhuvvat kā zamāna DhūñDte rahnā
kisī ik par nahīñ ruktī nazar apnī tabī.at hai
hasīñ chehroñ pe zauq-e-dilbarāna DhūñDte rahnā
mirī nīñdoñ meñ ḳhvāboñ meñ hai ye ḳhvāhish chhupī paiham
tumhāre vasl kā sapnā suhānā DhūñDte rahnā
'asad' hai justujū jis kī use paanā to hai aksar
yūñhī rahnā safar meñ ānā-jānā DhūñDte rahnā
chaman se gul se wo rishta purana DhunDte rahna
andheron mein bhi apna aashiyana DhunDte rahna
kabhi aalam-e-dauran se na thak kar baiTh jaana tum
mohabbat ka uKHuwwat ka zamana DhunDte rahna
kisi ek par nahin rukti nazar apni tabiat hai
hasin chehron pe zauq-e-dilbarana DhunDte rahna
meri nindon mein KHwabon mein hai ye KHwahish chhupi paiham
tumhaare wasl ka sapna suhana DhunDte rahna
'asad' hai justuju jis ki use pana to hai aksar
yunhi rahna safar mein aana-jaana DhunDte rahna
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 585)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.