chaman-taraaz bahaaron mein bhi sukun na mila
chaman-tarāz bahāroñ meñ bhī sukūñ na milā
magar guloñ se vo ruḳhsār-e-lāla-gūñ na milā
isī sabab se junūñ ko ḳhirad samajh na sakī
jahān meñ jise hikmat milī junūñ na milā
chaTak guloñ kī sadā-e-shikast-e-dil se milī
magar guloñ kā dil-e-ḳhūñ-shuda se ḳhuuñ na milā
zabāñ pe 'ahd-e-vafā hai nazar meñ 'azm-e-jafā
majāz apnī haqīqat se aah kyoñ na milā
majāz ‘ain-e-haqīqat mirī nigāh meñ hai
tirī nigāh se terā bayān kyoñ na milā
mujhe ye kis ne fareb-e-sukūñ diyā hai 'zahīn'
agar sukūñ na mile to na kah sakūñ na milā
chaman-taraaz bahaaron mein bhi sukun na mila
magar gulon se wo ruKHsar-e-lala-gun na mila
isi sabab se junun ko KHirad samajh na saki
jahan mein jise hikmat mili junun na mila
chaTak gulon ki sada-e-shikast-e-dil se mili
magar gulon ka dil-e-KHun-shuda se KHun na mila
zaban pe 'ahd-e-wafa hai nazar mein 'azm-e-jafa
majaz apni haqiqat se aah kyon na mila
majaz ‘ain-e-haqiqat meri nigah mein hai
teri nigah se tera bayan kyon na mila
mujhe ye kis ne fareb-e-sukun diya hai 'zahin'
agar sukun na mile to na kah sakun na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.