chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai
chaman vāloñ se barq-e-be-amāñ kuchh aur kahtī hai
magar merī to shāḳh-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
nazar meñ us kī yuuñ to sab kī hī raftār hai lekin
mire qadmoñ se gard-e-kārvāñ kuchh aur kahtī hai
yahāñ kā zarra zarra mahshar-e-ġham hai haqīqat meñ
ba-zāhir raunaq-e-bazm-e-jahāñ kuchh aur kahtī hai
hai un kī hī nazar ā.īna-e-dair-o-haram lekin
yahāñ kuchh aur kahtī hai vahāñ kuchh aur kahtī hai
kisī din saath chhuT jaane kā ḳhatra hai use shāyad
tire ġham se merī umr-e-ravāñ kuchh aur kahtī hai
yahī tum ko yaqīñ kyoñ hai ki koī iltijā hogī
suno to merī chashm-e-ḳhūñfishāñ kuchh aur kahtī hai
mujhe apnī sadāqat par bhī shak hai is zamāne meñ
ki dil kuchh aur kahtā hai zabāñ kuchh aur kahtī hai
jahāñ meñ go nahīñ āsār kuchh aise qayāmat ke
magar gumrāhī-e-ahl-e-jahāñ kuchh aur kahtī hai
kabhī 'kaif' is kā lohā mānte the lucknow vaale
magar ab ahl-e-dehlī kī zabāñ kuchh aur kahtī hai
chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai
magar meri to shaKH-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
nazar mein us ki yun to sab ki hi raftar hai lekin
mere qadmon se gard-e-karwan kuchh aur kahti hai
yahan ka zarra zarra mahshar-e-gham hai haqiqat mein
ba-zahir raunaq-e-bazm-e-jahan kuchh aur kahti hai
hai un ki hi nazar aaina-e-dair-o-haram lekin
yahan kuchh aur kahti hai wahan kuchh aur kahti hai
kisi din sath chhuT jaane ka KHatra hai use shayad
tere gham se meri umr-e-rawan kuchh aur kahti hai
yahi tum ko yaqin kyon hai ki koi iltija hogi
suno to meri chashm-e-KHunfishan kuchh aur kahti hai
mujhe apni sadaqat par bhi shak hai is zamane mein
ki dil kuchh aur kahta hai zaban kuchh aur kahti hai
jahan mein go nahin aasar kuchh aise qayamat ke
magar gumrahi-e-ahl-e-jahan kuchh aur kahti hai
kabhi 'kaif' is ka loha mante the lucknow wale
magar ab ahl-e-dehli ki zaban kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.