chameli ghas par bikhri paDi hai
chamelī ghaas par bikhrī paḌī hai
havā ye baaġh meñ kaisī chalī hai
lakīroñ se bane ik aa.ine meñ
kisī kī shakl uljhī rah ga.ī hai
mirī khiḌkī se chiḌiyāñ uḌ ga.ī haiñ
muñDeroñ kī marammat jab se kī hai
ilāhī ḳhair ho ye kaun aayā
bahut be-vaqt ghanTī baj rahī hai
nikal aa.e achānak ghaas meñ phuul
sitāroñ ne unheñ āvāz dī hai
ḳhatīb-e-shahr ne dīvār kaisī
diloñ ke āñganoñ meñ khīñch dī hai
faqat tārīḳh ko maz.hab samajh kar
abhī tak ham ne kitnī bhuul kī hai
ye sikkoñ kī tamannā kā samar hai
mire bāloñ meñ chāñdī aa ga.ī hai
usī ālūda paanī meñ hamārī
tumhārī 'umr bahtī jā rahī hai
chameli ghas par bikhri paDi hai
hawa ye bagh mein kaisi chali hai
lakiron se bane ek aaine mein
kisi ki shakl uljhi rah gai hai
meri khiDki se chiDiyan uD gai hain
munDeron ki marammat jab se ki hai
ilahi KHair ho ye kaun aaya
bahut be-waqt ghanTi baj rahi hai
nikal aae achanak ghas mein phul
sitaron ne unhen aawaz di hai
KHatib-e-shahr ne diwar kaisi
dilon ke aanganon mein khinch di hai
faqat tariKH ko mazhab samajh kar
abhi tak hum ne kitni bhul ki hai
ye sikkon ki tamanna ka samar hai
mere baalon mein chandi aa gai hai
usi aaluda pani mein hamari
tumhaari 'umr bahti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.