chand aansu aankh se girna qayamat ho gae
chand aañsū aañkh se girnā qayāmat ho ga.e
ham hamesha ke liye mahrūm-e-rāhat ho ga.e
un ke jalve mere ġham-ḳhāne kī zīnat ho ga.e
dil ke har goshe meñ raushan dāġh-e-hasrat ho ga.e
ab kahegā kaun un se mere ġham kī dāstāñ
sham' jal kar bujh ga.ī taare bhī ruḳhsat ho ga.e
tum to apne the tumheñ to saath denā thā mirā
tum zamāne kī tarah kyoñ be-muravvat ho ga.e
merī sachchī baat bhī afsāna ban kar rah ga.ī
un ke afsāne bhī jitne the haqīqat ho ga.e
ab ye 'ālam hai mirā 'afgan' mazāq-e-yār meñ
ġham kī sūrat maiñ nahīñ ġham merī sūrat ho ga.e
chand aansu aankh se girna qayamat ho gae
hum hamesha ke liye mahrum-e-rahat ho gae
un ke jalwe mere gham-KHane ki zinat ho gae
dil ke har goshe mein raushan dagh-e-hasrat ho gae
ab kahega kaun un se mere gham ki dastan
sham' jal kar bujh gai tare bhi ruKHsat ho gae
tum to apne the tumhein to sath dena tha mera
tum zamane ki tarah kyon be-murawwat ho gae
meri sachchi baat bhi afsana ban kar rah gai
un ke afsane bhi jitne the haqiqat ho gae
ab ye 'alam hai mera 'afgan' mazaq-e-yar mein
gham ki surat main nahin gham meri surat ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.