chand bartan hain chaarpai hai
chand bartan haiñ chārpā.ī hai
yahī daulat yahī kamā.ī hai
pyaar karte haiñ zindagī tujh se
jānte haiñ ki tū parā.ī hai
zaḳhm nikhregā dard bolegā
us kī ḳhushbū kahīñ se aa.ī hai
us ko toḌo ki ab use phāñdo
tum ne dīvār ḳhud banā.ī hai
ḳhvāb kaise koī mukammal ho
niiñd aa.ī na maut aa.ī hai
ai mohabbat vahāñ ḳhudā hī nahīñ
tū ne gardan jahāñ jhukā.ī hai
phone par ho ki sirf chaa.e par
kyā milan hai ye kyā judā.ī hai
kaise 'tauqīr' shā'irī ho bhalā
jab vafā hai na bevafā.ī hai
chand bartan hain chaarpai hai
yahi daulat yahi kamai hai
pyar karte hain zindagi tujh se
jaante hain ki tu parai hai
zaKHm nikhrega dard bolega
us ki KHushbu kahin se aai hai
us ko toDo ki ab use phando
tum ne diwar KHud banai hai
KHwab kaise koi mukammal ho
nind aai na maut aai hai
ai mohabbat wahan KHuda hi nahin
tu ne gardan jahan jhukai hai
phone par ho ki sirf chae par
kya milan hai ye kya judai hai
kaise 'tauqir' sha'iri ho bhala
jab wafa hai na bewafai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.