chand diwaren kisi ko din kisi ko dar diye
chand dīvāreñ kisī ko diiñ kisī ko dar diye
ham ne ik chhoTe se ghar ke kitne TukḌe kar diye
be-adab nañgī nigāhoñ se bachāne ke liye
ham ne ma.anī ko badan alfāz ko paikar diye
kyā haqīqat kī numā.ish merī ḳhātir jurm thī
tū ne jo ā.īna dekhā us ke TukḌe kar diye
ro rahe ho der se shīshe kī kircheñ dekh kar
tum ne kyuuñ ahl-e-junūñ ke haath meñ patthar diye
dopahar ke ba.ad us ne phuul jaise haath se
shaam tak lohe kī zanjīroñ ke TukḌe kar diye
dil kī gahrā.ī meñ kyā hai mujh se ai 'saulat' na pūchh
jitne dariyā aañkh se nikle samundar kar diye
chand diwaren kisi ko din kisi ko dar diye
hum ne ek chhoTe se ghar ke kitne TukDe kar diye
be-adab nangi nigahon se bachane ke liye
hum ne mani ko badan alfaz ko paikar diye
kya haqiqat ki numaish meri KHatir jurm thi
tu ne jo aaina dekha us ke TukDe kar diye
ro rahe ho der se shishe ki kirchen dekh kar
tum ne kyun ahl-e-junun ke hath mein patthar diye
dopahar ke baad us ne phul jaise hath se
sham tak lohe ki zanjiron ke TukDe kar diye
dil ki gahrai mein kya hai mujh se ai 'saulat' na puchh
jitne dariya aankh se nikle samundar kar diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.