chand ghaDiyan nahin guzri thin shanasai ko
chand ghaḌiyāñ nahīñ guzrī thiiñ shanāsā.ī ko
sho.ala-andām chale aa.e pazīrā.ī ko
kaun jaane vo hasīñ thā ki tamannā merī
DhūñD laa.ī thī kahīñ se mirī rusvā.ī ko
aks Thahrā thā mire dīda-e-tar meñ kab se
ā.īna DhūñD na paayā ruḳh-e-zebā.ī ko
TuuT kar reza hue jaate haiñ sab ḳhvāb mire
kah do girya na kare chashm-e-tamāshā.ī ko
bād-o-bārāñ bhī nahīñ baam nahīñ dar bhī nahīñ
koī chhīno na mire gosha-e-tanhā.ī ko
apne ehsās pe khīñcho na lakīreñ 'shahnāz'
toḌ bhī Daalo but-e-rahzan-e-bīnā.ī ko
chand ghaDiyan nahin guzri thin shanasai ko
shoala-andam chale aae pazirai ko
kaun jaane wo hasin tha ki tamanna meri
DhunD lai thi kahin se meri ruswai ko
aks Thahra tha mere dida-e-tar mein kab se
aaina DhunD na paya ruKH-e-zebai ko
TuT kar reza hue jate hain sab KHwab mere
kah do girya na kare chashm-e-tamashai ko
baad-o-baran bhi nahin baam nahin dar bhi nahin
koi chhino na mere gosha-e-tanhai ko
apne ehsas pe khincho na lakiren 'shahnaz'
toD bhi Dalo but-e-rahzan-e-binai ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.