chand gile bhula diye chand se darguzar kiya
chand gile bhulā diye chand se darguzar kiyā
qissa-e-ġham tavīl thā jaan ke muḳhtasar kiyā
jhuuT nahīñ thā ishq bhī ziist bhī thī tujhe aziiz
maiñ ne bhī apnī umr ko apne liye basar kiyā
jaise bhī tere ḳhvāb hoñ jo bhī tire sarāb hoñ
maiñ ne to ret oḌh lī maiñ ne to kam safar kiyā
terī nigāh-e-nāz kā lutf-o-gurez ek saath
shauq thā kuchh agar rahā rañj thā kuchh agar kiyā
TuuT ke phir se juḌ gayā ḳhvāb kā zard silsila
maiñ ne tire firāq ko niiñd meñ hī basar kiyā
raah bahut tavīl thī raah meñ ik fasīl thī
is ko bhī muḳhtasar kiyā us meñ bhī ek dar kiyā
ham to ajiib log the ham ko hazār rog the
ḳhuub kiyā jo aap ne ġhair ko ham-safar kiyā
chand gile bhula diye chand se darguzar kiya
qissa-e-gham tawil tha jaan ke muKHtasar kiya
jhuT nahin tha ishq bhi zist bhi thi tujhe aziz
main ne bhi apni umr ko apne liye basar kiya
jaise bhi tere KHwab hon jo bhi tere sarab hon
main ne to ret oDh li main ne to kam safar kiya
teri nigah-e-naz ka lutf-o-gurez ek sath
shauq tha kuchh agar raha ranj tha kuchh agar kiya
TuT ke phir se juD gaya KHwab ka zard silsila
main ne tere firaq ko nind mein hi basar kiya
rah bahut tawil thi rah mein ek fasil thi
is ko bhi muKHtasar kiya us mein bhi ek dar kiya
hum to ajib log the hum ko hazar rog the
KHub kiya jo aap ne ghair ko ham-safar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.