chand KHushiyon ke taKHayyul mein guzara kar ke
chand ḳhushiyoñ ke taḳhayyul meñ guzārā kar ke
ham nikal sakte the aahoñ se kinārā kar ke
tere jaane se nayā dard ubhar aa.egā
gar chalā jā.egā tū dard kā chāra kar ke
jo tire hijr pe bantā thā ka.ī saal vo kaam
lauT kar aa gayā maiñ saare kā saarā kar ke
ham usī haath ko lagne ke liye baiThe haiñ
chhoḌ detā hai havā meñ jo ġhubāra kar ke
maiñ binā naav jo jā.ūñ to tamāsha hogā
Duub jā.ūñgā maiñ kashtī kā sahārā kar ke
chand KHushiyon ke taKHayyul mein guzara kar ke
hum nikal sakte the aahon se kinara kar ke
tere jaane se naya dard ubhar aaega
gar chala jaega tu dard ka chaara kar ke
jo tere hijr pe banta tha kai sal wo kaam
lauT kar aa gaya main sare ka sara kar ke
hum usi hath ko lagne ke liye baiThe hain
chhoD deta hai hawa mein jo ghubara kar ke
main bina naw jo jaun to tamasha hoga
Dub jaunga main kashti ka sahaara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.