chand KHwabon ki parchhaiyan aur main
chand ḳhvāboñ kī parchhā.iyāñ aur maiñ
par sameTe haiñ rusvā.iyāñ aur maiñ
tīnoñ ik duuje ke haiñ baḌe ḳhair-ḳhvāh
ya.anī ye hijr tanhā.iyāñ aur maiñ
bhīgā āñchal nazar aa.e to aap ko
yaad kartī haiñ purvā.iyāñ aur maiñ
aaj bhī mere ḳhvāboñ ke album meñ hai
terī alhaḌ sī añgḌā.iyāñ aur maiñ
khojtī haiñ sukūñ ab to chāroñ pahar
sog āñkheñ ye charpā.iyāñ aur maiñ
terī hasrat meñ rote hue hī mile
mere lafzoñ kī shahnā.iyāñ aur maiñ
aaj phir raat bhar baat karte rahe
sahmī sahmī sī parchhā.iyāñ aur maiñ
chand KHwabon ki parchhaiyan aur main
par sameTe hain ruswaiyan aur main
tinon ek duje ke hain baDe KHair-KHwah
yani ye hijr tanhaiyan aur main
bhiga aanchal nazar aae to aap ko
yaad karti hain purwaiyan aur main
aaj bhi mere KHwabon ke album mein hai
teri alhaD si angDaiyan aur main
khojti hain sukun ab to chaaron pahar
sog aankhen ye charpaiyan aur main
teri hasrat mein rote hue hi mile
mere lafzon ki shahnaiyan aur main
aaj phir raat bhar baat karte rahe
sahmi sahmi si parchhaiyan aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.