chand lafzon ke jal mein rakkha
chañd lafzoñ ke jaal meñ rakkhā
dil ko ranj-o-malāl meñ rakhā
ġham kā saayā bhī us ne ik lā kar
nazm-e-roz-e-visāl meñ rakhā
jo bhī ham ne javāb meñ chāhā
us ko apne savāl meñ rakkhā
zindagī ko bhī ham ne dāvat dī
maut ko bhī ḳhayāl meñ rakkhā
jo anā thī vo taaq par rakkhī
ḳhud ko us ke jalāl meñ rakkhā
jo bhī jazba uchhālnā chāhā
vo ġhazal ke jamāl meñ rakkhā
chand lafzon ke jal mein rakkha
dil ko ranj-o-malal mein rakha
gham ka saya bhi us ne ek la kar
nazm-e-roz-e-visal mein rakha
jo bhi hum ne jawab mein chaha
us ko apne sawal mein rakkha
zindagi ko bhi hum ne dawat di
maut ko bhi KHayal mein rakkha
jo ana thi wo taq par rakkhi
KHud ko us ke jalal mein rakkha
jo bhi jazba uchhaalna chaha
wo ghazal ke jamal mein rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.