chand lamhon ki faraghat hai mayassar jaanan
chand lamhoñ kī farāġhat hai mayassar jānāñ
phir kahāñ husn-o-mohabbat kā ye manzar jānāñ
aañkh bhar kar tujhe ai jān-e-jahāñ dekh to luuñ
jaane le jaa.e kahāñ kal ko muqaddar jānāñ
ye dahakte hue ruḳhsār pe rangīñ āñchal
kaash qaa.em rahe kuchh der ye manzar jānāñ
ye chaman-zār ye kohsār ye bhīgā mausam
is pe terā ye nikhartā huā paikar jānāñ
garm qahve kī mahak aur ye būñdā-bāndī
ye sarā.e ye hasīñ shaam kā manzar jānāñ
kitne tūfān machalte haiñ mire siine meñ
dil hai jazbāt kā bahtā huā sāgar jānāñ
kaif-o-mastī ke vo lamhāt-e-hasīñ ḳhvāb hue
ab kahāñ husn-o-mohabbat kā vo manzar jānāñ
chand lamhon ki faraghat hai mayassar jaanan
phir kahan husn-o-mohabbat ka ye manzar jaanan
aankh bhar kar tujhe ai jaan-e-jahan dekh to lun
jaane le jae kahan kal ko muqaddar jaanan
ye dahakte hue ruKHsar pe rangin aanchal
kash qaem rahe kuchh der ye manzar jaanan
ye chaman-zar ye kohsar ye bhiga mausam
is pe tera ye nikharta hua paikar jaanan
garm qahwe ki mahak aur ye bunda-bandi
ye sarae ye hasin sham ka manzar jaanan
kitne tufan machalte hain mere sine mein
dil hai jazbaat ka bahta hua sagar jaanan
kaif-o-masti ke wo lamhat-e-hasin KHwab hue
ab kahan husn-o-mohabbat ka wo manzar jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.