chand lamhon ki zindagi hai abhi
chand lamhoñ kī zindagī hai abhī
in charāġhoñ meñ raushnī hai abhī
apnī ma.asūm sī tamanna ke
ḳhuun se ik ġhazal likhī hai abhī
ek muddat se hai sharīk-e-safar
zindagī phir bhī ajnabī hai abhī
ḳhushk mausam kī dil-lagī ke liye
chashm-e-gul kuchh to shabnamī hai abhī
raakh se jism meñ kahīñ na kahīñ
ek chingārī sī dabī hai abhī
apnī tahzīb ke kuchalne ko
muntazir bīsvīñ sadī hai abhī
dil kī vīrān rahguzāroñ par
koī aahaT sī aa rahī hai abhī
sab to 'irfān' luT chukā lekin
ek sarmāya-e-ḳhudī hai abhī
chand lamhon ki zindagi hai abhi
in charaghon mein raushni hai abhi
apni masum si tamanna ke
KHun se ek ghazal likhi hai abhi
ek muddat se hai sharik-e-safar
zindagi phir bhi ajnabi hai abhi
KHushk mausam ki dil-lagi ke liye
chashm-e-gul kuchh to shabnami hai abhi
rakh se jism mein kahin na kahin
ek chingari si dabi hai abhi
apni tahzib ke kuchalne ko
muntazir biswin sadi hai abhi
dil ki viran rahguzaron par
koi aahaT si aa rahi hai abhi
sab to 'irfan' luT chuka lekin
ek sarmaya-e-KHudi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.