chand lamhon mein moamma zist ka hal kar gaya
chand lamhon mein moamma zist ka hal kar gaya
Mohammad Ali Mauj Rampuri
MORE BYMohammad Ali Mauj Rampuri
chand lamhoñ meñ mo'amma ziist kā hal kar gayā
ek dīvāna ḳhirad-mandoñ ko pāgal kar gayā
dhuup taptī ret par dariyā pe bādal kar gayā
us kā har kirdār mere zehn ko shal kar gayā
be-asar be-rabt lahja be-tavāzun guftugū
vo milā bhī to tabī'at aur bojhal kar gayā
maslahat-āmez bāteñ abr ban kar chhā ga.iiñ
dil kā sāvan is tarah barsā ki jal-thal kar gayā
merī aahaT pā ke jis ke chauñk uThte the kivāḌ
koī aaj is ghar kā darvāza muqaffal kar gayā
har taraf ye aam shohrat hai ki koī shah-savār
aaj saare shahr ke logoñ ko paidal kar gayā
sard lahje meñ vo mujh se guftugū karne ke baa'd
jab uThā to rabt-e-zehn-o-dil mo'attal kar gayā
'mauj' us chehre pe likkhā ek lafz-e-intishār
ḳhud-farebī ke sabhī qisse mukammal kar gayā
chand lamhon mein mo'amma zist ka hal kar gaya
ek diwana KHirad-mandon ko pagal kar gaya
dhup tapti ret par dariya pe baadal kar gaya
us ka har kirdar mere zehn ko shal kar gaya
be-asar be-rabt lahja be-tawazun guftugu
wo mila bhi to tabi'at aur bojhal kar gaya
maslahat-amez baaten abr ban kar chha gain
dil ka sawan is tarah barsa ki jal-thal kar gaya
meri aahaT pa ke jis ke chaunk uThte the kiwaD
koi aaj is ghar ka darwaza muqaffal kar gaya
har taraf ye aam shohrat hai ki koi shah-sawar
aaj sare shahr ke logon ko paidal kar gaya
sard lahje mein wo mujh se guftugu karne ke ba'd
jab uTha to rabt-e-zehn-o-dil mo'attal kar gaya
'mauj' us chehre pe likkha ek lafz-e-intishaar
KHud-farebi ke sabhi qisse mukammal kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.