chand mohmal si sargoshiyon se pare KHamushi ki rida mein hain lipTe hue
chand mohmal si sargoshiyon se pare KHamushi ki rida mein hain lipTe hue
Rehman Musawwir
MORE BYRehman Musawwir
chand mohmal sī sargoshiyoñ se pare ḳhāmushī kī ridā meñ haiñ lipTe hue
lab-ba-lab ho ga.e jab zamīñ āsmāñ chāñd ubhrā ufuq par chamakte hue
raat ham se baġhal-gīr aise huī saare raushan tasavvur hue sāñvle
raah sūraj kī takte rahe sub.h tak ham ujāle kī chaukhaT pe baiThe hue
lazzat-e-lams se band āñkheñ huiiñ sirf sāñsoñ se hotī rahī guftugū
rafta rafta pighalte rahe barf se phir dhuāñ ho ga.e jism jalte hue
pahlī bārish mohabbat kī thī aur ham āsmānoñ kī jānib chale be-ḳhatar
phir havā daf.atan sāmne aa ga.ī apne Deñoñ pe talvār bāñdhe hue
un luTerī nigāhoñ ko kyā hai ḳhabar chiir kar siina aa.e haiñ jo sat.h par
kitne taklīf-dah haiñ samundar ko ye ḳhushbuoñ ke jazīre ubharte hue
āsmāñ par dhanak bādaloñ meñ chamak baaz kī painī nazreñ hadaf par lagīñ
chhat pe jañgalī kabūtar hai sahmā huā apne bhīge paroñ ko sameTe hue
zehn meñ ek manzar hai chipkā huā jaise mehmān-ḳhāne meñ ho painting
chāñd ke gore mukhḌe pe uljhī ghaTā aañkh bhīgī huī lab haiñ sulge hue
aañkh meñ jagmagātī huī ḳhvāhisheñ nīm-shab sharm kī jhālareñ ban ga.iiñ
kāmnā.eñ dulhan ban ke itrā rahīñ kārchobī sharāra sañbhāle hue
mere bistar pe kircheñ haiñ tanhā.ī kī ḳhvāb TuuTe hue ḳhushk āñkhoñ meñ haiñ
jazb jo kar sake ab vo āñchal nahīñ ashk Darte haiñ ghar se nikalte hue
chand mohmal si sargoshiyon se pare KHamushi ki rida mein hain lipTe hue
lab-ba-lab ho gae jab zamin aasman chand ubhra ufuq par chamakte hue
raat hum se baghal-gir aise hui sare raushan tasawwur hue sanwle
rah suraj ki takte rahe subh tak hum ujale ki chaukhaT pe baiThe hue
lazzat-e-lams se band aankhen huin sirf sanson se hoti rahi guftugu
rafta rafta pighalte rahe barf se phir dhuan ho gae jism jalte hue
pahli barish mohabbat ki thi aur hum aasmanon ki jaanib chale be-KHatar
phir hawa dafatan samne aa gai apne Denon pe talwar bandhe hue
un luTeri nigahon ko kya hai KHabar chir kar sina aae hain jo sath par
kitne taklif-dah hain samundar ko ye KHushbuon ke jazire ubharte hue
aasman par dhanak baadalon mein chamak baz ki paini nazren hadaf par lagin
chhat pe jangali kabutar hai sahma hua apne bhige paron ko sameTe hue
zehn mein ek manzar hai chipka hua jaise mehman-KHane mein ho painting
chand ke gore mukhDe pe uljhi ghaTa aankh bhigi hui lab hain sulge hue
aankh mein jagmagati hui KHwahishen nim-shab sharm ki jhaalaren ban gain
kaamnaen dulhan ban ke itra rahin karchobi sharara sanbhaale hue
mere bistar pe kirchen hain tanhai ki KHwab TuTe hue KHushk aankhon mein hain
jazb jo kar sake ab wo aanchal nahin ashk Darte hain ghar se nikalte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.