chappa-chappa do-jahan ka nur se mamur hai
chappa-chappa do-jahāñ kā nuur se māmūr hai
chashm-e-bīnā ho to har zarra charāġh-e-tūr hai
parda-hā-e-chashm meñ vo jalva-e-mastūr hai
aaj merī har nazar barq-e-jamāl-e-tūr hai
har taraf se ārzū-e-dil mirī mahsūr hai
ya.anī har armān par ik be-kasī māmūr hai
dasht-e-aiman hai na muusā haiñ na koh-e-tūr hai
haañ tirī banda-navāzī aaj tak mash.hūr hai
kis qadar nāzuk taḳhayyul hai junūn-e-shauq kā
mujh se har manzil pe kahtā hai ki manzil duur hai
vo tamanna vus.at-e-kaunain jis ko tang thī
ek goshe meñ dil-e-māyūs ke mahsūr hai
ye ajab andāz hai husn-e-tajallī-rez kā
har nazar meñ jalva-gar har aañkh se mastūr hai
aaj mujh ko be-niyāz-e-har-do-ālam kar diyā
zarra zarra mere dil kā ishq kā mashkūr hai
raah se maiñ haT gayā yā aa ga.ī manzil qarīb
aaj zabt-e-mustaqil kyoñ aah par majbūr hai
ho na ho ab un ke aane kī ḳhabar aane ko hai
ashk to thamte nahīñ haiñ dil magar masrūr hai
un kī qismat ashk jin ke rāt-din thamte nahīñ
aah vo bekas jo zabt-e-āh par majbūr hai
dil mirā minnat-pazīr-e-lutf kyoñ ho ai 'munīr'
husn hai maġhrūr lekin ishq bhī ġhayyūr hai
chappa-chappa do-jahan ka nur se mamur hai
chashm-e-bina ho to har zarra charagh-e-tur hai
parda-ha-e-chashm mein wo jalwa-e-mastur hai
aaj meri har nazar barq-e-jamal-e-tur hai
har taraf se aarzu-e-dil meri mahsur hai
yani har arman par ek be-kasi mamur hai
dasht-e-aiman hai na musa hain na koh-e-tur hai
han teri banda-nawazi aaj tak mashhur hai
kis qadar nazuk taKHayyul hai junun-e-shauq ka
mujh se har manzil pe kahta hai ki manzil dur hai
wo tamanna wusat-e-kaunain jis ko tang thi
ek goshe mein dil-e-mayus ke mahsur hai
ye ajab andaz hai husn-e-tajalli-rez ka
har nazar mein jalwa-gar har aankh se mastur hai
aaj mujh ko be-niyaz-e-har-do-alam kar diya
zarra zarra mere dil ka ishq ka mashkur hai
rah se main haT gaya ya aa gai manzil qarib
aaj zabt-e-mustaqil kyon aah par majbur hai
ho na ho ab un ke aane ki KHabar aane ko hai
ashk to thamte nahin hain dil magar masrur hai
un ki qismat ashk jin ke raat-din thamte nahin
aah wo bekas jo zabt-e-ah par majbur hai
dil mera minnat-pazir-e-lutf kyon ho ai 'munir'
husn hai maghrur lekin ishq bhi ghayyur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.