charagh bujh bhi chuka raushni nahin jati
charāġh bujh bhī chukā raushnī nahīñ jaatī
vo saath saath hai aur bekalī nahīñ jaatī
shabāb-e-rafta phir aatā nahīñ javānī par
ye vo makāñ hai ki jis ko galī nahīñ jaatī
ajiib dar-badarī meñ guzar rahī hai hayāt
ki apne ghar meñ bhī ab be-gharī nahīñ jaatī
chaman ko chāroñ taraf gher kar nahīñ rakhnā
sabā guloñ kī taraf kab chhupī nahīñ jaatī
chalo usī se kareñ baat chārāgar to hai
vo jis se baat kisī kī sunī nahīñ jaatī
matā-e-dard numū ke safar meñ hai shāmil
kalī bahār meñ vaise jalī nahīñ jaatī
fishār-e-vaqt meñ nok-e-qalam huī larzāñ
lahū ke shor meñ dil kī kahī nahīñ jaatī
tamām shahr ra.ūnat kī gard meñ malfūf
aur ek ham haiñ ki vāraftagī nahīñ jaatī
charagh bujh bhi chuka raushni nahin jati
wo sath sath hai aur bekali nahin jati
shabab-e-rafta phir aata nahin jawani par
ye wo makan hai ki jis ko gali nahin jati
ajib dar-badari mein guzar rahi hai hayat
ki apne ghar mein bhi ab be-ghari nahin jati
chaman ko chaaron taraf gher kar nahin rakhna
saba gulon ki taraf kab chhupi nahin jati
chalo usi se karen baat chaaragar to hai
wo jis se baat kisi ki suni nahin jati
mata-e-dard numu ke safar mein hai shamil
kali bahaar mein waise jali nahin jati
fishaar-e-waqt mein nok-e-qalam hui larzan
lahu ke shor mein dil ki kahi nahin jati
tamam shahr raunat ki gard mein malfuf
aur ek hum hain ki waraftagi nahin jati
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 385)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.