charagh dosh-e-hawa pe raushan khaDe hue the
charāġh dosh-e-havā pe raushan khaḌe hue the
kamāl ye hai qazā ke sar par chaḌhe hue the
falak ke dāman pe jo sitāre chamak rahe haiñ
hamārī chaukhaT pe sar-ba-sajda paḌe hue the
na.e shajar khilkhilā rahe the ḳhizāñ kī rut meñ
qadīmī peḌoñ ke taaza patte jhaḌe hue the
kisī kī ġhurbat kā nuur ruḳh se chhalak rahā thā
kisī kī baalī meñ hiire motī jaḌe hue the
vahāñ pe sabr-o-razā ne ḳheme lagā.e apne
jahāñ pe zulm-o-sitam ke parcham gaḌe hue the
hamāre zaḳhmoñ se makkhiyoñ ne maze uThā.e
kuchh 'ahd-e-māzī ke ghaav ab tak saḌe hue the
muhājiroñ ko patā hai apne vatan kī qīmat
ye vo parinde haiñ jo yahāñ par baḌe hue the
usī ne pahlā qadam baġhāvat kī samt rakkhā
vo jis kī ulfat ke tiir dil meñ gaḌe hue the
ajal se milne kī aarzū meñ janāb-e-'mehvar'
sharāb-ḳhāne meñ zindagī se laḌe hue the
charagh dosh-e-hawa pe raushan khaDe hue the
kamal ye hai qaza ke sar par chaDhe hue the
falak ke daman pe jo sitare chamak rahe hain
hamari chaukhaT pe sar-ba-sajda paDe hue the
nae shajar khilkhila rahe the KHizan ki rut mein
qadimi peDon ke taza patte jhaDe hue the
kisi ki ghurbat ka nur ruKH se chhalak raha tha
kisi ki baali mein hire moti jaDe hue the
wahan pe sabr-o-raza ne KHeme lagae apne
jahan pe zulm-o-sitam ke parcham gaDe hue the
hamare zaKHmon se makkhiyon ne maze uThae
kuchh 'ahd-e-mazi ke ghaw ab tak saDe hue the
muhajiron ko pata hai apne watan ki qimat
ye wo parinde hain jo yahan par baDe hue the
usi ne pahla qadam baghawat ki samt rakkha
wo jis ki ulfat ke tir dil mein gaDe hue the
ajal se milne ki aarzu mein janab-e-'mehwar'
sharab-KHane mein zindagi se laDe hue the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.