charagh-e-arzu hai aur main hun
charāġh-e-ārzū hai aur maiñ huuñ
vafā kī justujū hai aur maiñ huuñ
vo chup hai aur maiñ ḳhāmosh lekin
ajab sī guftugū hai aur maiñ huuñ
falak kā shams to bas ik gumāñ hai
mere dil kā lahū hai aur maiñ huuñ
faqat do log haiñ saare jahāñ meñ
ai mere yaar tū hai aur maiñ huuñ
bahut hī duur vo rahtā hai phir bhī
nazar ke rū-ba-rū hai aur maiñ huuñ
nahīñ hotā vo gar ham bhī na hote
vahī to kū-ba-kū hai aur maiñ huuñ
usī kā aks hai saare jahāñ meñ
vo mere chaar sū hai aur maiñ huuñ
kahāñ tanhā huuñ jīvan ke safar meñ
anā hai zid hai ḳhū hai aur maiñ huuñ
mujhe lagtā hai vo mere hī jaisā
koī to hū-ba-hū hai aur maiñ huuñ
tumhāre ishq ke gulshan meñ sāhib
baḌī rangat hai bū hai aur maiñ huuñ
safar hai 'sāhiba' taḳhlīq kā ye
ġhazal kī aabrū hai aur maiñ huuñ
charagh-e-arzu hai aur main hun
wafa ki justuju hai aur main hun
wo chup hai aur main KHamosh lekin
ajab si guftugu hai aur main hun
falak ka shams to bas ek guman hai
mere dil ka lahu hai aur main hun
faqat do log hain sare jahan mein
ai mere yar tu hai aur main hun
bahut hi dur wo rahta hai phir bhi
nazar ke ru-ba-ru hai aur main hun
nahin hota wo gar hum bhi na hote
wahi to ku-ba-ku hai aur main hun
usi ka aks hai sare jahan mein
wo mere chaar su hai aur main hun
kahan tanha hun jiwan ke safar mein
ana hai zid hai KHu hai aur main hun
mujhe lagta hai wo mere hi jaisa
koi to hu-ba-hu hai aur main hun
tumhaare ishq ke gulshan mein sahib
baDi rangat hai bu hai aur main hun
safar hai 'sahiba' taKHliq ka ye
ghazal ki aabru hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.