charagh-e-did jalao ki KHwab larzan hain
charāġh-e-dīd jalāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
dhueñ se sho.ala jagāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
koī ġhazal koī naġhma koī bahār kā giit
fazā-e-ġham ko sunāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
hayāt jabr-e-musalsal sahī magar us vaqt
rabāb-o-sāz uThāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
ba-nām-e-tishnagī laao koī dahaktā ayāġh
ye sard raat jalāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
karam kā mehr-o-mohabbat kā zikr kyā ab to
sitam ke naaz uThāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
ufuq pe ziist ke hañgām-e-ārzū-e-visāl
kā māhtāb sajāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
ye pul-sirāt-e-tamannā kī saḳht rāheñ haiñ
qadam sambhal ke uThāo ki ḳhvāb larzāñ haiñ
charagh-e-did jalao ki KHwab larzan hain
dhuen se shoala jagao ki KHwab larzan hain
koi ghazal koi naghma koi bahaar ka git
faza-e-gham ko sunao ki KHwab larzan hain
hayat jabr-e-musalsal sahi magar us waqt
rabab-o-saz uThao ki KHwab larzan hain
ba-nam-e-tishnagi lao koi dahakta ayagh
ye sard raat jalao ki KHwab larzan hain
karam ka mehr-o-mohabbat ka zikr kya ab to
sitam ke naz uThao ki KHwab larzan hain
ufuq pe zist ke hangam-e-arzu-e-visal
ka mahtab sajao ki KHwab larzan hain
ye pul-siraat-e-tamanna ki saKHt rahen hain
qadam sambhal ke uThao ki KHwab larzan hain
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 177)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.