charagh-e-ishq jala lun to koi baat karun
charāġh-e-ishq jalā luuñ to koī baat karūñ
añdhere dil ke miTā luuñ to koī baat karūñ
luTā duuñ raah meñ us kī maiñ apnī sab pūñjī
zarā sī nekī kamā luuñ to koī baat karūñ
ġhubār-e-vaqt meñ uljhī hai merī rāhguzar
safar kī laaj bachā luuñ to koī baat karūñ
bahut udaas hai raat aur rū-ba-rū hai firāq
navā-e-'mīr' sunā luuñ to koī baat karūñ
mujhe bhī dasht kī āvārgī se rabt hai kuchh
ye ḳhāk-e-dasht uḌā luuñ to koī baat karūñ
palaT ke aa.e ho muddat ke baa'd āñkhoñ meñ
ye ashk-e-hijr girā luuñ to koī baat karūñ
sahārā donoñ jahāñ meñ amal kā hai 'resham'
ye baat sab ko batā luuñ to koī baat karūñ
charagh-e-ishq jala lun to koi baat karun
andhere dil ke miTa lun to koi baat karun
luTa dun rah mein us ki main apni sab punji
zara si neki kama lun to koi baat karun
ghubar-e-waqt mein uljhi hai meri rahguzar
safar ki laj bacha lun to koi baat karun
bahut udas hai raat aur ru-ba-ru hai firaq
nawa-e-'mir' suna lun to koi baat karun
mujhe bhi dasht ki aawargi se rabt hai kuchh
ye KHak-e-dasht uDa lun to koi baat karun
palaT ke aae ho muddat ke ba'd aankhon mein
ye ashk-e-hijr gira lun to koi baat karun
sahaara donon jahan mein amal ka hai 'resham'
ye baat sab ko bata lun to koi baat karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.