charagh-e-jaan hum batao kab tak jala ke rakkhen
charāġh-e-jāñ ham batāo kab tak jalā ke rakkheñ
diye pe ehsān kitne āḳhir havā ke rakkheñ
hameñ jo bigḌā huā samajhtā hai laakh samjhe
hamīñ tumhāre jahān se kyoñ banā ke rakkheñ
uThā liyā hai jo jaam ham ne to thamnā kaisā
ab aap apnī nasīhateñ sab uThā ke rakkheñ
tum aaj fursat meñ ho yā uljhī huī ho jānāñ
ham aaj ḳhud ko miTā deñ yā phir bachā ke rakkheñ
agar na aanā hai aaj tum ko to so leñ ham bhī
jo ḳhvāb meñ aa rahe ho palkeñ bichhā ke rakkheñ
use sunā deñ ġhazal kahī hai jo ruuTh us se
yā ham laboñ par ḳhamoshiyoñ ko sajā ke rakkheñ
jo aap nā-āshnā haiñ ham se to sharm kaisī
haiñ 'āshnā' to huzūr dil se lagā ke rakkheñ
charagh-e-jaan hum batao kab tak jala ke rakkhen
diye pe ehsan kitne aaKHir hawa ke rakkhen
hamein jo bigDa hua samajhta hai lakh samjhe
hamin tumhaare jahan se kyon bana ke rakkhen
uTha liya hai jo jam hum ne to thamna kaisa
ab aap apni nasihaten sab uTha ke rakkhen
tum aaj fursat mein ho ya uljhi hui ho jaanan
hum aaj KHud ko miTa den ya phir bacha ke rakkhen
agar na aana hai aaj tum ko to so len hum bhi
jo KHwab mein aa rahe ho palken bichha ke rakkhen
use suna den ghazal kahi hai jo ruTh us se
ya hum labon par KHamoshiyon ko saja ke rakkhen
jo aap na-ashna hain hum se to sharm kaisi
hain 'ashna' to huzur dil se laga ke rakkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.